How to Identify Original vs Copy iPhone Display (Full Guide)
iPhone ka display change karte waqt sabse badi dikkat ye hoti hai ki market me original aur copy dono type ke displays milte hain. Agar aapko nahi pata chale ki kaunsa original hai, to aap paise zyada kharch karke bhi low-quality screen le sakte ho. Yahan hum ek detailed guide me samjhayege ki kaise deeply check karein display original hai ya copy.
1. Brightness & Color Test
Original iPhone display me brightness zyada hoti hai aur colors natural lagte hain. Copy display me colors thode fade ya overly saturated ho jate hain.
2. Touch Response Check
Original display ka touch smooth aur lag-free hota hai. Copy display me touch response slow ya kabhi-kabhi miss bhi kar sakta hai.
3. True Tone & 3D Touch
True Tone feature sirf original display me properly kaam karta hai. Agar aapka iPhone me True Tone option disable ho gaya hai, to samajh lo display copy hai.
4. Display Glass Quality
Original display ka glass hard aur scratch resistant hota hai. Copy display me glass soft hota hai jo jaldi scratch ho jata hai.
5. Battery Drain & Heat Test
Copy displays jyada battery consume karte hain aur device heat bhi zyada hota hai. Original display power efficient hota hai.
Conclusion
Agar aap apne iPhone me display change karwana chahte ho to hamesha trusted service center ya authorized repair shop se hi karao. Copy display thoda sasta padta hai lekin long term me aapke phone ki performance aur battery health ko damage karta hai. Original display ek safe aur long-lasting option hai.